/
Welcome to NQSJ1432 Takmeel e Quran Program Welcome to NQSJ1432 Takmeel e Quran Program

Welcome to NQSJ1432 Takmeel e Quran Program - PowerPoint Presentation

mercynaybor
mercynaybor . @mercynaybor
Follow
343 views
Uploaded On 2020-08-28

Welcome to NQSJ1432 Takmeel e Quran Program - PPT Presentation

بسم اللـه الرحمـن الرحيم LUQMAN KI NASIHATEIN Surah Luqman 1319 Salsabeel Group 13 وإذ قال لقمـن لٱبنهۦ وهو يعظه ۥ يـبنى لا تشرك ID: 808236

aur hai mai allah hai aur allah mai

Share:

Link:

Embed:

Download Presentation from below link

Download The PPT/PDF document "Welcome to NQSJ1432 Takmeel e Quran Prog..." is the property of its rightful owner. Permission is granted to download and print the materials on this web site for personal, non-commercial use only, and to display it on your personal computer provided you do not modify the materials and that you retain all copyright notices contained in the materials. By downloading content from our website, you accept the terms of this agreement.


Presentation Transcript

Slide1

Welcome to NQSJ1432 Takmeel e Quran Program

بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ

LUQMAN KI NASIHATEIN(Surah Luqman 13-19)

Salsabeel Group

Slide2

(13)وَإِذۡ قَالَ لُقۡمَـٰنُ لِٱبۡنِهِۦ وَهُوَ يَعِظُهُ ۥ يَـٰبُنَىَّ لَا تُشۡرِكۡ بِٱللَّهِ‌ۖ إِنَّ ٱلشِّرۡكَ لَظُلۡمٌ

عَظِيمٌ۬Allah ke sath shirk na kerna, shirk tou

bada zulm haiTashreeh: Shirk - Khaliq ko makhluq se milana. 3 tarah ka hota hai: Aluhiyat mai shirk: Allah ke alawa dusron se dua,madad mangna.Asma o sifaat may shirk: Allah ke naam dusron keliye rakhna ya sifaat e

Ilaahi ko makhluq may rakhna.Rabubiyat

mai

shirk:

zameen

o asmaan ka Khaliq Allah ke

alawa

kisi aur ko banalena.

Slide3

Amal

Shirk -

buhat bada zulm hai agar shirk par maot - hameshagi ki jahannum Sachchi Touba - Allah Gafoorur Raheem hai Shirk se bachana hai aur

shirk aur uss

ke

zariyon se bachana hai

Allah ki Asma o sifaat se

ma’arifat karani hai

Apnay

bachchon

ko Allah se

jodna hai

Slide4

 َ

وَصَّيْنَا

الْإِنسَانَ بِوَالِدَيْهِ حَمَلَتْهُ أُمُّهُ وَهْنًا عَلَىٰ وَهْنٍ وَفِصَالُهُ فِي عَامَيْنِ (14)أَنِ اشْكُرْ لِي وَلِوَالِدَيْكَ إِلَيَّ الْمَصِير

ُ

Aur hum ne inasan ko uss ke maa baap ke muttaliq takeed ki hai k jiss tarha Maa takleef utha ker bachchey ko apnay pait mai rakhti hai aur janam deti hai. Phir usko dou saal tak dudh pilati hai. Allah ka shuker kerta reh aur apnay maa baap ka bhi. Ke tum ko Allah hi ki taraf laut ker ana hai

Tashreeh

:

Pehle

Huqooq e Allah se waqif kia aur ab huqooq ul ibaad se waqfiat ki

jarahi

hai

****

kaha jata hai ke yeh Allah ki taraf se hukum hai , Luqman hakeem ki naseehat

nahi ****

Slide5

لا اله الا الله وحده لا شريك له، له الملك وله الحمد، وهو على كل شيء قدير

la ilaha ila Allah wahdahu la sharika lah, lahu al-mulk wa lahu al-hamd, wa huwa `ala kulli shay’in qadir

Slide6

وَإِن جَـٰهَدَاكَ عَلَىٰٓ أَن تُشۡرِكَ بِى مَا لَيۡسَ لَكَ بِهِۦ عِلۡمٌ۬ فَلَا تُطِعۡهُمَا‌ۖ وَصَاحِبۡهُمَا فِى ٱلدُّنۡيَا مَعۡرُوفً۬ا‌ۖ وَٱتَّبِعۡ سَبِيلَ مَنۡ أَنَابَ إِلَىَّ‌ۚ ثُمَّ إِلَىَّ مَرۡجِعُكُمۡ (15)

فَأُنَبِّئُڪُم بِمَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَAgay farmaya ke agar maa baap aulad per zor daalein ke tu merey sath kisi aisi cheez ko shareek kerey jiska tujhay kuch bhi ilm nahi to unka kaha na maanna. Haan duniya ke kaamo mai in ka achi tarah sath dena aur jo shaks meri taraf ruju Kerley uskay rastay per chalna. Phir tumko meri taraf laut ker ana hai. Jo

kuch tum kertey rahay ho uss se phir mai tumko agaah kerdunga. Tashreeh: Kaha na manna se murad battamizi nahi bulke unke shirk kerne k dabo dalein ke bawajood

deen pr qayem

rahna

hai.

Agar tum islam qubool kerlo ya shaori musalman ban jao aur maa baap abhi kufr pr hon

ya

riwaji

musalman hon tab bhi tum unki khidmat kerte rahna.

Slide7

Hz Sa’ad bin abi Waqas rz farmatay hain ke yeh ayat merey liye utri. Mai apni maa ka buhat farmanbardaar tha, magar merey Islam lanay per meri maa ne bhook

hartaal shuru kerdi.

Do din faqay mai guzray to mainay kaha ke agar teri ek jaan ke badlay sau bhi hotein to bhi mai Islam se nahi phirta Is baat per unhoun ney bhook hartaal chodi.Hadith:

Nabi saw se Kabair ke mutaliq daryaft kiya gaya tou aap ne fermaya k allah ke sath shareek banana aur maa baap ki nafermani kerna, kisi admi ka qatal kerna aur jhoti gawahi dena.

(sahi bukhari:2473)

Maa Baap ke Liye ki jane wali bahtreen Dua:

رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي

صَغِيرًا

Rabbir hamhuma kama Rabbayani

Sagheera

(Al-Isra:27)

Aye Mere Rabb Jiss Tarha Unhon ne Mujhe Bachpan se Pala Ussi Tarha Tu bi Unn pr Raham Ferma.

Slide8

Amal

Makhlooq ki farmanbardaari mai Khaliq ki nafarmani nahi kerniMaa baap ki khidmat kerni hai ibadat nahi

Duniyawi kaamo mai unka sath dena hai aur kehna maanna hai magar jahan Allah ki nafarmani ki baat aye wahan nahi maanniAllah ki taraf lautnay ka khauf rakhna hai ke woh sub kaamo se baa khabar hai

Slide9

يَا بُنَيَّ إِنَّهَا إِن تَكُ مِثْقَالَ حَبَّةٍ مِّنْ خَرْدَلٍ فَتَكُن فِي صَخْرَةٍ أَوْ فِي (16)السَّمَاوَاتِ

أَوْ فِي الْأَرْضِ يَأْتِ بِهَا اللَّـهُ ۚ إِنَّ اللَّـهَ لَطِيفٌ خَبِيرٌ

Luqman hakeem ne ek raaey ke danay ki misal deker apnay betey ko samjhaya ke itna sa daana bhi agar kisi pathar mai, ya asmano mai ya zameen mai chupa hua ho to Allah usko qayamat ke din laamaujud kerdeyga. Kuch shak nahi ke Allah Bareek been hai Khabardaar hai.Tashreeh: Raaey ke dane ki missal – Raaye ka dana bahut chota jiss ka wazan toul

may mahsoos na hota

aur

na

tarazoo

ke

padle

ko

jhuka

sakta

hai Allah

usse

bhi

dekhta

hai. Allah Al-

Lateef

hai.

Hadees

: “agar tum may se koi

shaks

besuraakh

ke

pathar

may

bhi

amal

karega

jis

ka

koi

darwaza

ya

khidki

na

ho’ Allah

usse

bhi

zahir

kerdega

,

chahe

wo

kaisa

hi

amal

ho

(

Musnad

e Ahmed 3/28)

Andheri

ratt

may

chalney

wali

choonti

ki

harkat

se

bhi

Allah

bakhabar

hai.

Slide10

AMAL

Apnay

bachchon ko misal deyker samjhana chahiye ke unhe baat zahen-nasheen hojaye

Allah ke Khabardaar aur Bareek been honay ka ehsaas insaan ko gunah se rokta hai. Iska ehsaas apnay bachon ko

dilaya

jaaye

t

akay

bachay maa baap se

chup

ker

bhi

ghalat

kaam

na

kerein

.

Is cheez ka bhi ehsaas dilana ke Allah humaray her

amal

ko

chahey

woh

raaey ke dana ke barabar ho qayamat ke din samnay ley ayega.

Slide11

يَا بُنَيَّ أَقِمِ الصَّلَاةَLuqman hakeem ne phir se apnay betey ko pyar se bula ker kaha, ke namaz ki pabandi

kernaPehlay Allah ka khauf dilaya aur samjhaya ke Allah her amal ko dekh raha hai. Phir namaz ki baat ki takay betey ko

namaz chodnay mai yeh ehsas rahey ke Allah isko qayamat ke din samnay ley ayega. Pehlay bachchon ke eemaan ki jadd mazbuth kerein phir faraaiz ki naseehat kereinJo shaks din mai panch waqt Allah ke samnay hazir hoga, usko haq baat kehnay ki himmat ayegi. Woh logo ki ghalat baaton per unko zarur rokeyga.

Namaz insaan ko buraayon se bachati hai. Namaz ke zariye insaan ka Allah se gehra taaluq banta hai

.

Amal

Slide12

Jab tak namaz ki pabandi nahi hogi, Amar bil Maaruf

aur Nahi anil

Munkar nahi hosakta. Luqman apnay betey ko leadership quality sikharahe hain.Jo bacha bachpan se hi trained hoga who baad mai ijatmai kaam kersakeyga.Hadith: Nabi saw: Meri Ankhon ki Thandak Namaz Hai. يَا بُنَيَّ أَقِمِ الصَّلَاةَ وَأْمُرْ بِالْمَعْرُوفِ وَانْهَ عَنِ الْمُنكَرِ وَاصْبِرْ عَلَىٰ مَا أَصَابَكَ ۖ

(17)إِنَّ

ذَٰلِكَ مِنْ عَزْمِ الْأُمُورِ

 

Aur Luqman

hakeem ne

kaha

ke

logo ko achay kaam kernay ka mushwara detey rehna aur buri baaton se mana kertey

rehna.

Phir

farmaya

ke jo musibat tujh per aye us per

sabar

kerna. Beshak ye

badi

himmat ke kaam hain.

Slide13

Jab Amar

bil Maaruf

aur Nahi anil Mukar keringay to mukhalfat zarur hogi. Log bura maaneingay aur mushkilaat bhi daal saktay hain. Isliye pehlay hi naseehat kerdi ke sabar se kaam lena, kamzor mat pedna

.

Sabar

ke

maani hain saabit qadmi.

عَزْم

Azm

ke

Maani

hain

:

1. kisi

kaam

ke

liye

pukhta irada kerlena. 2.

milay

hoye

ahkamat

ko

anjam

dene

ke

liye

aur

unn

par

jamne

ke

liye

jo

himmat chahiye. 3. Allah ke qatai hukum ko manna

Hadees e Nabwi saw ka khulasa: Momin dou tarah ke hotay hain 1. dheelay dhalay 2. mazbuth. Allah ko donu pasand hain magar mazbuth ziyada mehboob hain

Luqman hakeem apnay betey ko mazbuth momin

banana

chahtay

they.

Slide14

AMAL

Bachchon

ko pehlay se khatray ke baray mai agaah kerkay naseehat kerni chahiyeApnay bachon ko mazbuth momin bananay ki koshish kerni chahiye تُصَعِّرْ خَدَّكَ لِلنَّاسِ وَلَا تَمْشِ فِي الْأَرْضِ مَرَحًا ۖ إِنَّ اللَّـهَ لَا يُحِبُّ(18) كُلَّ مُخْتَالٍ فَخُورٍ

takkabur

kertey hue logo ke samnay gaal na phulana aur zameen mai akad ker mat chalna. Isliye ke Allah kisi itranay walay shekhi khoray ko pasand nahi kerta

.

صَعِّر

Sa’ir : uont

ki ek bimari jis se uski

gardan

tedhi

hojati

hai -

m

urad

hai

woh

shaks jo takkabur

aur

ghurur

ki wajah se logo

se

رُخ

rukh

pher ley

.

مَرَحًا

Maraha

:

1. haya aur sharam ki chadar ko utaar phainkna 2. akarna, shiddat e farah 3. who nishat jis mai halka pan aur sabqi paayi jaaey.

Slide15

فَخُورٍ Fa

s tareekay se akad ker chalna ke dusron ko lagay ke who is kay samnay haqeer hain. م

ُخْتَال Mukhtal: jo ghareeb rishtaydaaron ko pasand na kerey, itranay wala. لِلنَّاس Logon se murad ghareeb rishtaydar, maa baap, kamzor log wagera.A M A L

Pehlay Allah se taaluq

joda

, phir maa baap se, phir faraaiz ki ehmiat yaad dilatay hue ijtamai zimedari ki bhi naseehat ki, aur ab ikhlaqi tarbiyat ki jarahi hai. Isi

tarteeb

se

bachon

ko

sikhana

chahiye

.

Amr

bil

Maaruf

aur

Nahi

anil

Munkar

keliye achay ikhlaq aur ajizi zaruri hai.

Slide16

(19)وَاقْصِدْ فِي مَشْيِكَ وَاغْضُضْ مِن صَوْتِكَ ۚ إِنَّ أَنكَرَ الْأَصْوَاتِ لَصَوْتُ

الْحَمِيرِApni chaal mai etadaal kiye rehna aur boltay waqt zara neechi awaz rakhna. Unchi awaz ko gadhay ki awaz se tashbih di aur kaha sub se buri awaz gadhay ki hoti hai.Darmayana chaal chalnay ka hukum diya gaya.

Nabi saw ke ikhlaq mai narmi thi, tabiyat sakht na thi, Aap saw na shor kertey, na Aap saw fauhash go the. Jo cheez dil ko na bhaati us mai nuqs na nikaltay balkay us se ghaflat barattay, magar dusron ko naa umeed bhi na kertey. Aap saw ne 3 cheezein chod

rakhi thein 1. jhagda

2. takkabur 3. jo kaam kiya na ho us mai

na

padna

.

(

Riwayat

)

Apnay bachchon

ko misal deker

samjhana

chahiye

.

Chaal aur dhaal achay rakhnay ki bhi

naseehat kerna

chaye kyon ki momin apni chaal dhaal se

pehchana

jaata

hai.

AMAL

Slide17

Jazakumullah Khairan for watching!